Ek waqt ki baat hai ke Ek bohot taqatwar badshah tha jis se har koi darta tha...
Bohot taqat hone ki wajah se us mein bohot ghuroor agya tha...
Badshah ki saat shezadiyan thi or sab ki sab khubsurat b thi magar sab se choti shehzadi jiska Naam Gul bahar tha voh khubsurat hone ke sath sath 5 waqt ki Namazi or Reham dil b thi...
Badshah roz apni shehzadiyon ko darbar mein bulata or apni tareefon ko Sun'na pasand karta...
Ek din badshah ne sab se Sawal kiya ke btao " ap sab Kis ke naseeb ka khati ho?
" tamam betiyon ne badshah ke ghusse k dar se jawab DIYa k Hum toh apke naseeb ka khati hain... Lekin shehzadi Gul bahar ne kaha Hum sab apne naseeb ka khatay hain Allah har insan ko uske naseeb ka ata karta hai...
Yeh sun kr badshah bohot ghusse mein agya or shehzadi Gul bahar ko jungle mein tanha chor dene ki saza Sunai or kaha ke agar waqai yeh Sach hai toh sabit kr ke batao...
Masoom shehzadi ko tanha jungle mein chor DIYa Gaya...
Do din se bhooki piyasi shehzadi bohot kamzor hone lagi lekin Allah par se bharosa nahi hataya us ne...
Teesray din usay jungle mein Ek buzurg mily jo do baasi roti paani se Kha rahy thy shehzadi se dkh kr sabar na hua or unky pas ja kr us ne unse Khane ko kch manga...
Buzurg ne kaha beti yeh toh baasi rotiyan hain tum kese khaogi ?
Shehzadi ne jawab DIYa Allah jo b ata kry us pe sabar shukar karna chahye...
Yeh baat sun kr buzurg ne shehzadi ko Ek roti de di...
Or USi waqt voh buzurg Ek farishtay mein badal Gaye or shehzadi se kaha tumhara Allah pr sacha bharosa dekhtey huye Tmhy Ek inaam DIYa jAye ga...
Ek soorkh Patton wala darakht hai jis ke neechay khodnay pr beshumar dolat milegi...
Shehzadi yeh sun kr Khush hogyi or darakht talaash Karne lagi darakht Milne pr uske neechay waqai beshumar dolat or zewarat mily...
Shehzadi ko itni dolat mili k us ne jungle mein hi mehal banwa liya jald hi vahan abaadi hogyi or voh vahan hukumat Karne lagi...
Ek din badshah ghor sawari par nikla or jungle ki Taraf Ek bohot khubsurat mehal Dekha or socha yeh mahal aj se pehele toh nahi tha...
Andar ja ke jab us ne vahan apni beti ko Dekha toh heraan reh Gaya...
Shehzadi ne saara qissa sunaya or kaha yeh sab Allah ne mere naseeb mein likha tha jo kisi bhi Tarhan se mujh tak pohnch Gaya jab k ap ne tanha jungle mein chor DIYa tha mjhe...
Badshah ne sab sun kr Allah se tobbah ki k Ainda kabhi ghuroor badshah ban ke zinDAgi nahi guZarega... Or Ek br phr se sab mil kr khushi khushi rehne lAge.....

Comments
Post a Comment