Meri Piyari Guriya Kids Story - MoMoCreativity



Ek din neelam ki ammi ne neelam ko Ek bohot piyari guriya tohfay mein di.
Voh bohot Khush hogyi usne piyari guriya ka Naam Mano rakha or apni ammi k Shukriya Ada kiya.

Neelam roz apni guriya se khelti thi.
Ek din us guriya ne neelam se baat krna shuru kardiya voh heraan reh Gayi.

Neelam ne Mano se pucha tum kese Bol sakti ho?
Usne jawab DIYa ke mein jAdooi guriya Hun mein apne sath khelne Walon se baat Kar sakti Hun kya tum mjh se dosti karogi ?

Neelam Khush hogyi or dosti Karli. Voh dono hamesh sath rehne lAge yahan tak k voh dono sath sone b lAge.

Ek din neelam ko uski ammi ne kisi kaam se bulaya neelam ne kaha Mano tum yehi Rehna mein a k tum se khelungi yeh keh kr neelam chali Gayi or Mano naraz hogyi usay laga k shayad ab neelam usay pehly jesa pyar nahi karti.

Us ne socha ke ab voh kabi neelam se baat nahi kregi or khelegi b nAhi.
Voh naraz ho kr khirki ke pas Beth Gayi or rone lagi. asman mein Ek Jin haazir hogya usko dekh kr Mano bohot dar Gayi or bohot ziyada rone lagi or jaldi se ghar k Kone mein ja kr chup Gayi.

Jese hi neelam wapis ai toh Mano ko rota dekh kr pareshan hogyi us ne pucha k kya hua Mano ? Mano ne jawab DIYa k asman mein Ek Jin Dekha h Mein ne.

Neelam ne usay godh mein Utha kr pyar kiya or khirki mein se bahar Dekha toh kaala kawa Betha tha voh hans pari or kaha meri piyari guriya yeh Jin nahi kawa hai or yeh Ek parinda hai tumhy is se darne ki koi zaroorat nahi hai.

Yeh sun Kar Mano sukoon Mein agayi or soch ne lagi ke mein bohot ghalat thi neelam k baray mein neelam toh ab b mjhe bohot pyar krti hai.

Us din k bad se Mano kabhi neelam se naraz nahi hui or voh dono phir se hansi khushi rehne lAge.

Comments